Santa aur Banta 8th mein aathvi Baar Fail Ho gaye
Santa: Chal Suicide kar le
Banta: Saale, Pagal Ho Gaya Hai ??
Agle janam Fir NURSERY se shuru karna padega?
Santa Underwear khareedne gaya…
Dukandar ne use 300 Rs ki mast underwear dikhayi.
Price sunkar Santa bola:
“Yaar roj pehenne wala dikhao, Party wear nahin chahiye”
Santa pe bijli ki taar gir gayi
Santa tadap tadap ke marne hi wala tha ki..
.
.
.
Use yaad aaya
Ki Bijlee to 2 ghante se band hai,
Wapas uth gaya aur bola: Saala, Dara diya!
Santa: Aap mujhe sanskrit seekha do,
Pandit: kyun?
Santa: Devtaao ki bhasha hai, Swarg mein jaroorat padegi
Pandit: Agar nark gaye to?
Santa: Punjabi to aati hi hai…